Friday, October 27, 2006

Ek Lamha Jo Mayus Tha

Ek mayus lamha mugh sae bola,
Kyun tune mughe jiya nahi,

Bola, mein khada pratiksha mein,
Ulhaas mann mein futa tha,
Jo beet gaye mere sathi nakhush they,
Samagh betha, shayad unse koi rutha tha..

Har muskan ko apna banana ka,
Arman dil mein basaya tha..
Intezar mein khade lamhon ki uss quatar ko,
Maine apne sapno sae chota banaya tha….

Par aaj mein bhi khali hath huin,
Dil mein ek kasak si hai bas,
Maine to tere sath jeene aaya tha,
Kyun tune "hi" mughe jiya nahi…..

LaghuPath . . .

Chahta to mein intezar karta,
Subh kae uss pahele lamhe ka
Ya himat jo karta, raat ka astitv badl,
Usae apni parchai banadeta…

Lekin meri to zid thi,
Mughae to chamakna tha…
Shayad isi chahat mein,
Mein Jugnu ban gaya,..

Chamak to thi, par mein jal gaya,
Kisi ki muthi mein dab gaya…
Pahele raat thi, andhera tha, mein tha
Bas meri shakhsiyat ko roshni ki talaash thi…

Abb bhi andhera hai, raat hai
Mein bhi roshan huin,
Bas meri shakhsiyat jal rahi hai,
Do pal jeene ko machal rahi hai…..