Friday, March 09, 2007

samandar sa mera mann...

samandar sa mera mann...

ye jo itna shant hai
tumhari kalpana bhar sae hairan hai...
ye jo meri ghrayee hai
tumhri hansi ki parchaee hai

ye jo tapta iska pani hai
mere tez chalti sanson ki baichani hai
ye jo phir raat ki sheetalta hai
mere sapnon, mere vishvas ki kahani hai

ye jo chanchal lahren hai
tumhari kashti ki hi to dhaare hain
ye jo aaya mugh mein jwar hai
tumhare chand sae chehre ka khumar hai


ye jo kinare par mera umadna hai
tumsae mere milan ki kalpana hai
phir ye jo awak sa peeche hatna hai
tumhae kho dene kae darr sae siharna hai

ye jo mein namkeen huin,
tumhare yadon mein mera sisakna hai
ye jo mera vistar hai,
tumhae khojti meri aankon ka pyar hai

jalpari ban chu lo mera harr kann..
samandar sa mera mann