Monday, February 26, 2007

par koi gum to chahiye.

kabhi chahta huin aansun bahana...
par koi gum to chahiye

kash jindagi ki gantho mein
apni hansi ko gunda hota,
un gantho ke tutne ka dard..
dil sae aankon mein utar aata.
kisi kae ruthane ka darr
mere rohon ko sinhar jata
barish ki bondon ka girna
ek chehre ki yaad dilata
jab kahin koi geet gata tab,
bahon ka khalipan mughae rulata.
unko hoton ki hansi aur uski parchai ko,
mein pagalon ki tarah pakadna chahta..

kisi ki yadon mein tadapna chahta huin,
par kisi ko apna banaya to hota
kabhi chahta huin aasun bahana,
par koi gum to chahiye..........