Friday, October 27, 2006

Ek Lamha Jo Mayus Tha

Ek mayus lamha mugh sae bola,
Kyun tune mughe jiya nahi,

Bola, mein khada pratiksha mein,
Ulhaas mann mein futa tha,
Jo beet gaye mere sathi nakhush they,
Samagh betha, shayad unse koi rutha tha..

Har muskan ko apna banana ka,
Arman dil mein basaya tha..
Intezar mein khade lamhon ki uss quatar ko,
Maine apne sapno sae chota banaya tha….

Par aaj mein bhi khali hath huin,
Dil mein ek kasak si hai bas,
Maine to tere sath jeene aaya tha,
Kyun tune "hi" mughe jiya nahi…..

2 Comments:

At 10:47 AM , Blogger Unknown said...

wah yar tum to bahut hi achha likh lete ho..
Mujhe to pata hi nahin tha ki aap bhi blogging karte hain aur usmein bhi Kavitayein likhte hain..

Jaari rakho..

 
At 8:23 PM , Blogger Nitin Goel said...

ye kavitayen mere 23 saal kae chote sae jeevan mein meele anubhav hain, aur kuch nahi....

 

Post a Comment

Subscribe to Post Comments [Atom]

<< Home