Friday, October 27, 2006

LaghuPath . . .

Chahta to mein intezar karta,
Subh kae uss pahele lamhe ka
Ya himat jo karta, raat ka astitv badl,
Usae apni parchai banadeta…

Lekin meri to zid thi,
Mughae to chamakna tha…
Shayad isi chahat mein,
Mein Jugnu ban gaya,..

Chamak to thi, par mein jal gaya,
Kisi ki muthi mein dab gaya…
Pahele raat thi, andhera tha, mein tha
Bas meri shakhsiyat ko roshni ki talaash thi…

Abb bhi andhera hai, raat hai
Mein bhi roshan huin,
Bas meri shakhsiyat jal rahi hai,
Do pal jeene ko machal rahi hai…..

0 Comments:

Post a Comment

Subscribe to Post Comments [Atom]

<< Home