o meri saanvri si pari
apni angdaii laete naino se
ratiya ke darwaze khol,
o meri saanvri si pari,
mere man se kuch to bol...
bhor ki kashti mein kahin dur se
vo hasta natkhat sa suraj aaya hai
palkon ki oss ko, kirnon se ponch
ek chanchal sa savera laya hai...
chanda ko abb ghar apne jane de,
aur apni hatth ki ulghi taren khol...
meri hathon mein sir apna rakh le,
aur meethe-meethe sapnon ki gagri phod
komal sa vo sparsh khilte phoolon ka
en ruthe se hoton par simatne de,
aaj umadte mere man ke taarano ko
apni maasum karvaton se na machalne de
in koyalon ki kuhu sae
mere man ko abb mat tatol,
o meri saanvri si pari
mere man se kuch to bol....
1 Comments:
bahut achha likhne lage ho.. sahi hai... continue..
Post a Comment
Subscribe to Post Comments [Atom]
<< Home