Friday, June 30, 2006

Nasamgh Meri Samagh

apane aansuon ki khushnasebi ko, apni hansi samgh baitha
aur jab vo chalak gaye to, unko hi gunhgaar samgh baitha

Un hansti aur gargarati taliyon ko, apni shaan samgh baitha
Jab sab kuch mon hua to, un taliyon ko vaar samgh baitha

Sath chalte un kademon ko, aapna anuyayi samgh baitha
Jab vo kadam ruk gaye to, unko gadaar samagh baitha

Haton mein uthaye hue un taufon ko, apni jeet samgh baitha
Jab hath kahli rah gaye to, har taufe ko samaan samgh baitha

Shayad mein itna magroor tha, jo samghna tha vo na samgha
isliye karm ko apna or kismat ko bhagvan samgh baitha

3 Comments:

At 1:55 AM , Blogger aviral said...

This comment has been removed by a blog administrator.

 
At 1:57 AM , Blogger aviral said...

kaafi achha likha hai...tumhare man ki haalat samajh mein aa rahi hai mujhe...tumko itne kareeb se jaanta jo hoon..

apane aansuon ki khushnasebi ko, apni hansi samgh baitha
aur jab vo chalak gaye to, unko hi gunhgaar samgh baitha

aanso gunahgaar nahi hain dost...woh to bechaare hain...aankh unhe baahar fenk deti hai, gaal unhe sokh nahi paate...gaalo pe chalte chalte woh apna astitva kho dete hain..
Gunahgaar hai koi to woh hai man...jo un aansuon ko aankh se beghar kar deta hai....

Un hasanti aur gargarati taliyon ko, apni shaan samgh baitha
Jab sab kuch mon hua to, un taliyon ko vaar samgh baitha

kaafi simple aur bahut hi sateek line hai yeh....bahut achhhaa socha hai...


Sath chalte un kademon ko, aapna anuyayi samgh baitha
Jab vo kadam ruk gaye to, unko gadaar samagh baitha

jo kadam tumhare saath chale...aage badhe..un kadmo ko apna anuyayi samajhna bhool hai...galat hai un kadamo ke saath anyaay hai...woh to tumhare saathi hain...anuyaayi nahi...follower nahi hain..fir gaddari kyun??

Haton mein uthaye hue un taufon ko, apni jeet samgh baitha
Jab hath kahli rah gaye to, har taufe ko samaan samgh baitha

Nitin tum to possessive nahi the kabhi...as far as i remember...
yaad karo khud ko....kaheen emotions ke toofan mein apni galat pehchaan na banaa lo....nahi yeh tum nahi ho...


Shayad mein itna magroor tha, jo samghna tha vo na samgha
isliye karm ko apna or kismat ko bhagvan samgh baitha

yeh line bahut achhi hai...natural instinct ko dikha rahi hai....


kaafi achhi koshish hai...pataa hai ki yeh tumne likhne ke liye nah likha hai....
but yaad rakho...is kavita se akelapan saaf saaf jhaank raha hai....akele nahi ho...agal bagal mud ke dekho...sab saath hi hain tumhare...
cheers,
avi

 
At 8:38 AM , Blogger God Knows said...

aap blog kab se likhna shuru kar diye....:-)

 

Post a Comment

Subscribe to Post Comments [Atom]

<< Home